Connect with us

Article

HINGLISH VERSION OF BEING A GAMER’S WIFE

Non gamer patni ki kahani ~.~

Ek gamer ki wife hona easy task nahi hai.  din bhar bs game game game, “iss game main ye hua, uss game main vo hua.. ye game jeet sakte the lekin maire teammates ache nahi khele.. ye mairi call nahi sunte and blaa blaa blaa..” Bahut kuch sunna padta hai. 
Main gaming k bare main kuch nahi janti thi. Jab maire husband se pehli bar mili to muje pta bhi nahi tha ki DOTA 2 nam ki koi game bhi hai. Actually mujhe gaming ka kuch bhi pta nahi tha. PUBG, DOTA 2, CSGO ye sb mujhe inse hi pta chala.

Hamare jagha ki gaming ki aor perspective O.o

Tabhi lga sirf games hi to hain to ye shayad normal entertainmaint ke lia hi khelte honge, pr nahi. shaadi ke baad pata chala ye kitne crazy hain games ke liye. Main thehari North se yahan to games khelte to mummy papa bolte hain ki “baccho game khel ke kuch nahi hoga, padai karo padai”. Matlb game ko sirf entertainmaint k roop main dekha jata hai. Fir uss mahol se nikal kr abhi main esi duniya main pahunch gayi hun jahan bs jyada games games and games ki hi baat hoti hai. 8 hrs chod kr baki ke 16 hrs buss game ki batein hi sunneko milti hain.


Game sikhane ka bhoot swar >.<

Pehle batein sunne tak to theek tha fir achanak se pta nahi maire husband pe kya bhoot swar hua ki muje bhi games sikhane lage.. Pehle PUBG Mobile. Vo to theek tha kyunki usme thoda interest ana shuru ho gya jese ki aj kal koi bhi nongamer PUBG khel leta hai vese main bhi khel rahi thi. Fir baari ayi DOTA 2 ki jahan, muje itna confusing lga ki muje aj tak nahi pta chala ki DOTA 2 hai kya. Baad main turn ayi APEX LEGENDS ki, jahan muje kuch smjh hi nahi aya ki kon kahan se maar raha hain. Mairi first game main to kuch pta hi nahi chala yahan tak ki maine kisi opponent ko bhi nahi dekha fir bhi main jeet gayi.. That was really a legendary win. 

Non-gamer aur gamer ka samjhota 🙂

Fir dheere dheere unko samajh main aane laga ki mujhe itna interest nahi hai to vo abhi mujhe nahi bolte ki khelo. Pehle mujhe sikhate the to mujhe bhi lgta tha ki haan main seekh sakti hun islia unke sath dekhti thi, game khelna try krti thi lekin jab se maine games band kia hai maira sona’ khana or unko pyaar krna sab kam ho gya hai. 

Bhayanak gaming!

Abhi vo  jayadatar bs DOTA 2 ya CSGO hi khelte hain or inke sath ek kamra share karana bahut bda task hai because ye jyadater game main hi hote hain or agar koi teammate acha na khele to inko itna gussa ata hain ki suddenly inka voice increase hota hai jisse kabhi kabhi main dar jati hun. Fir kabhi kabhi bheech game main teammates ko calls dete hai to muje esa lgata hain ki muje kuch bol rahe hain. Aadhi raat ko game khelte hain ki main itna disturb ho gayi ki main abhi ear plugs lga kr soti hun.. 

Kintu Parantu…

But overall mujhe acha bhi lagta hai because ek nayi industry aa gayi hai jisme jyadater bacchon ka interest hota hai aur vo iss gaming industry main bhi vese hi aage badh sakte hai jese ki corporate company main. Or maire husband usshi industry ko aage develop karne main prayatna kar rahe hai.

2 Comments

2 Comments

  1. Alka rajput

    June 27, 2019 at 11:17 am

    Grt efforts..nic content…

  2. Sahil

    June 27, 2019 at 11:24 am

    Being a gamer’s wife,boht jyada fayde hain, na koi kaam krna na Khana bnana bechare gamer ki to bhukh he game khel kr khtm ho jaati hai 😉

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Must See

More in Article